har lamha humne baat rakhi hai ye dhyan mein
har lamha ham ne baat rakhī hai ye dhyān meñ
ik dāstān aur bhī hai dāstān meñ
yāroñ ne ek aan meñ mujh ko girā liyā
kotāh rah gayā thā maiñ apnī uḌaan meñ
kīleñ sī chubh rahī haiñ badan meñ shuāoñ kī
kis ne kiye haiñ chhed mire sā.ebān meñ
āñkhoñ kī ḳhāmushī meñ samundar kā shor thā
luknat sī paḌ ga.ī thī hamārī zabān meñ
lete haiñ saañs bhī to zarā soch soch kar
ham log rah rahe haiñ kisī ke makān meñ
kis ne bikher dī haiñ fazā meñ udāsiyāñ
kis ne bharā hai dard parinde kī taan meñ
kuchh log ashk ashk the kuchh the misāl-e-najm
kuchh gum hue zamīn meñ kuchh āsmān meñ
ham naqd-e-jism-o-jāñ se ḳharīdeñge kyā bhalā
kuchh bhī to ab nahīñ hai tumhārī dukān meñ
har lamha hum ne baat rakhi hai ye dhyan mein
ek dastan aur bhi hai dastan mein
yaron ne ek aan mein mujh ko gira liya
kotah rah gaya tha main apni uDan mein
kilen si chubh rahi hain badan mein shuaon ki
kis ne kiye hain chhed mere saeban mein
aankhon ki KHamushi mein samundar ka shor tha
luknat si paD gai thi hamari zaban mein
lete hain sans bhi to zara soch soch kar
hum log rah rahe hain kisi ke makan mein
kis ne bikher di hain faza mein udasiyan
kis ne bhara hai dard parinde ki tan mein
kuchh log ashk ashk the kuchh the misal-e-najm
kuchh gum hue zamin mein kuchh aasman mein
hum naqd-e-jism-o-jaan se KHaridenge kya bhala
kuchh bhi to ab nahin hai tumhaari dukan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.