har lamha karb-o-dard-o-gham-o-iztirab mein
har lamha karb-o-dard-o-gham-o-iztirab mein
Maqbool Ahmad Maqbool
MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool
har lamha karb-o-dard-o-ġham-o-iztirāb meñ
yā'nī mirī hayāt hai paiham 'azāb meñ
ab dil hamārā ban gayā ḳhushiyoñ kā maqbara
hai dafn har ḳhushī isī ḳhāna-ḳharāb meñ
sadqe hazār jaan se lutf-e-sukūn-o-aish
us lutf par jo pā liyā hai iztirāb meñ
gahrā.ī-e-nazar ho to nazzāra sahl hai
varna har ek chiiz chhupī hai naqāb meñ
is atomī zamāne kī sauġhāt hai yahī
hai ek ik nafas zad-e-qahr-o-itāb meñ
'maqbūl' kyā maqām-e-shahīd-e-vafā hai dekh
āb-e-hayāt pā liyā hai zahr-e-nāb meñ
har lamha karb-o-dard-o-gham-o-iztirab mein
ya'ni meri hayat hai paiham 'azab mein
ab dil hamara ban gaya KHushiyon ka maqbara
hai dafn har KHushi isi KHana-KHarab mein
sadqe hazar jaan se lutf-e-sukun-o-aish
us lutf par jo pa liya hai iztirab mein
gahrai-e-nazar ho to nazzara sahl hai
warna har ek chiz chhupi hai naqab mein
is atomi zamane ki saughat hai yahi
hai ek ek nafas zad-e-qahr-o-itab mein
'maqbul' kya maqam-e-shahid-e-wafa hai dekh
aab-e-hayat pa liya hai zahr-e-nab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.