har manzar-e-KHush-rang sulag jae to kya ho
har manzar-e-ḳhush-rañg sulag jaa.e to kyā ho
shabnam bhī agar aag hī barsā.e to kyā ho
ehsās kī qindīl se az.hān haiñ raushan
lekin ye ujālā bhī jo kajlā.e to kyā ho
sūraj kī tamāzat se jhulas jaatī hai duniyā
sūraj mire qadmoñ pe utar aa.e to kyā ho
zar-tābī-e-afkār to pahle hī se hai maañd
alfāz kā ā.īna bhī dhuñdlā.e to kyā ho
maiñ jab bhī likhūñ vaqt ke ḳhūñ-rez fasāne
hāthoñ maiñ qalam chhūT ke rah jaa.e to kyā ho
be-ḳhvāb nigāhoñ ke ufuq par jo achānak
dhuñdlā sā koī chāñd ubhar aa.e to kyā ho
har manzar-e-KHush-rang sulag jae to kya ho
shabnam bhi agar aag hi barsae to kya ho
ehsas ki qindil se azhan hain raushan
lekin ye ujala bhi jo kajlae to kya ho
suraj ki tamazat se jhulas jati hai duniya
suraj mere qadmon pe utar aae to kya ho
zar-tabi-e-afkar to pahle hi se hai mand
alfaz ka aaina bhi dhundlae to kya ho
main jab bhi likhun waqt ke KHun-rez fasane
hathon main qalam chhuT ke rah jae to kya ho
be-KHwab nigahon ke ufuq par jo achanak
dhundla sa koi chand ubhar aae to kya ho
- Book : Roshni Ke Phool (Pg. 28)
- Author : Anwar Minai
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Urdu Bazar Jamia Nagar, Delhi (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.