har manzil mein har raste mein sach apne kaam aaya hai
har manzil meñ har raste meñ sach apne kaam aayā hai
ham ne jhūTe logoñ ko aksar ghar tak pahuñchāyā hai
va.ada-shikan vo laakh sahī par mujh ko hairāñ karne ko
kabhī kabhī to mujh se milne va.ade par bhī aayā hai
chashm-e-tamāshā bhī sharminda hairat meñ ā.īne bhī
vaqt kī dhuup ne kaisā kaisā chehroñ ko jhulsāyā hai
vo jo diyā raushan hī nahīñ hai us ke liye rahmat kaisī
kyuuñ ye tez havā kā jhoñkā ghar meñ mire dar aayā hai
ham bhī ab se ba-qaul-e-'hālī' duniyā ko jhuTlāeñge
aaj talak is duniyā ne ham sachchoñ ko jhuThlāyā hai
kis ḳhāmoshī se palTī hai 'ḳhāvar' vo mauj-e-dariyā
jis mauj-e-dariyā ne mujh ko sāhil par pahuñchāyā hai
har manzil mein har raste mein sach apne kaam aaya hai
hum ne jhuTe logon ko aksar ghar tak pahunchaya hai
wada-shikan wo lakh sahi par mujh ko hairan karne ko
kabhi kabhi to mujh se milne wade par bhi aaya hai
chashm-e-tamasha bhi sharminda hairat mein aaine bhi
waqt ki dhup ne kaisa kaisa chehron ko jhulsaya hai
wo jo diya raushan hi nahin hai us ke liye rahmat kaisi
kyun ye tez hawa ka jhonka ghar mein mere dar aaya hai
hum bhi ab se ba-qaul-e-'haali' duniya ko jhuTlaenge
aaj talak is duniya ne hum sachchon ko jhuThlaya hai
kis KHamoshi se palTi hai 'KHawar' wo mauj-e-dariya
jis mauj-e-dariya ne mujh ko sahil par pahunchaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.