har marhala-e-shauq ka izhaar karenge
har marhala-e-shauq kā iz.hār kareñge
dil un kī mohabbat meñ giraftār kareñge
maanā ki guzar jā.egī ye zulm kī āñdhī
tajdīd-e-sitam phir bhī sitam-kār kareñge
mahrūm-e-tabī.at jo zamāne meñ rahe haiñ
vo apnī anā darpai-e-āzār kareñge
ham gardish-e-aflāk se nazroñ ko milā kar
jo faisla karnā hai sar-e-dār kareñge
tā-vaqt ki Takrā.eñ na kānoñ se sadā.eñ
dīvār ham apnī pas-e-dīvār kareñge
nafrat kī har ik shahr meñ bhaḌkā.eñge ātish
ye kaam faqat mulk ke ġhaddār kareñge
lafzoñ meñ simaT aa.egā guftār kā jaadū
lahje ko 'zafar' aap ke talvār kareñge
har marhala-e-shauq ka izhaar karenge
dil un ki mohabbat mein giraftar karenge
mana ki guzar jaegi ye zulm ki aandhi
tajdid-e-sitam phir bhi sitam-kar karenge
mahrum-e-tabiat jo zamane mein rahe hain
wo apni ana darpai-e-azar karenge
hum gardish-e-aflak se nazron ko mila kar
jo faisla karna hai sar-e-dar karenge
ta-waqt ki Takraen na kanon se sadaen
diwar hum apni pas-e-diwar karenge
nafrat ki har ek shahr mein bhaDkaenge aatish
ye kaam faqat mulk ke ghaddar karenge
lafzon mein simaT aaega guftar ka jadu
lahje ko 'zafar' aap ke talwar karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.