har mauj-e-bala se hum jab jab kashti-e-dil Takraate hain
har mauj-e-bala se hum jab jab kashti-e-dil Takraate hain
Shaikh Hasan Mushkil Afkari
MORE BYShaikh Hasan Mushkil Afkari
har mauj-e-balā se ham jab jab kashti-e-dil Takrāte haiñ
tūfān kī nabzeñ Dūbtī haiñ sāhil ko pasīne aate haiñ
ham un kī mahfil meñ apnā afsāna-e-ġham dohrāte haiñ
dil aur taḌapne lagtā hai jab dād-e-vafā kuchh paate haiñ
ālām jahāñ ke is dil par kyā mashq-e-sitam farmāte haiñ
nāgin kī tarah bal khāte haiñ sāñpoñ kī tarah lahrāte haiñ
tash.hīr-o-numā.ish kī goyā pardāz se dil bahlāte haiñ
duniyā meñ ka.ī aise haiñ jinheñ surḳhāb ke par lag jaate haiñ
har tarz-e-sitam par hañs hañs kar har jaur-o-jafā par ro ro kar
dīvāne tire duniyā ko abhī ādāb-e-vafā samjhāte haiñ
kohrām sā uThtā jaatā hai ik hashr bapā ho jaatā hai
ġhalatī se agar do ashk mire dāman pe kahīñ gir jaate haiñ
har barq taḌap kar kahtī hai taḳhrīb kā rishta mujh se hai
ta.amīr-e-nasheman kī ḳhātir gulshan meñ jahāñ bhī jaate haiñ
ik jazr-o-mad kā aalam bhī vābasta-e-qismat hotā hai
insān vahīñ kuchh paatā hai ehsās jahāñ taḌpāte haiñ
duniyā meñ abhī tak baaqī haiñ jābir bhī ka.ī zālim bhī ka.ī
hairat to yahī hai ai 'mushkil' insān sabhī kahlāte haiñ
har mauj-e-bala se hum jab jab kashti-e-dil Takraate hain
tufan ki nabzen Dubti hain sahil ko pasine aate hain
hum un ki mahfil mein apna afsana-e-gham dohraate hain
dil aur taDapne lagta hai jab dad-e-wafa kuchh pate hain
aalam jahan ke is dil par kya mashq-e-sitam farmate hain
nagin ki tarah bal khate hain sanpon ki tarah lahraate hain
tashhir-o-numaish ki goya pardaz se dil bahlate hain
duniya mein kai aise hain jinhen surKHab ke par lag jate hain
har tarz-e-sitam par hans hans kar har jaur-o-jafa par ro ro kar
diwane tere duniya ko abhi aadab-e-wafa samjhate hain
kohram sa uThta jata hai ek hashr bapa ho jata hai
ghalati se agar do ashk mere daman pe kahin gir jate hain
har barq taDap kar kahti hai taKHrib ka rishta mujh se hai
tamir-e-nasheman ki KHatir gulshan mein jahan bhi jate hain
ek jazr-o-mad ka aalam bhi wabasta-e-qismat hota hai
insan wahin kuchh pata hai ehsas jahan taDpate hain
duniya mein abhi tak baqi hain jabir bhi kai zalim bhi kai
hairat to yahi hai ai 'mushkil' insan sabhi kahlate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.