har mausam barsat ka mausam
har mausam barsāt kā mausam
be-qābū jazbāt kā mausam
merī bāñsurī us ke laboñ par
ho to ho naġhmāt kā mausam
baat pate kī kah jaatā hai
baat baat meñ baat kā mausam
koī mūrtī ban jā.egī
aaya hai him-pāt kā mausam
kore kāġhaz par likkhā hai
hoñToñ kī harkāt kā mausam
ham chāheñ to aa saktā hai
vo shīrīñ kalmāt kā mausam
tire bin jīvan hai jaise
bin bādal barsāt kā mausam
ḳhushk laboñ se kuchh kahtā hai
bhīgī bhīgī raat kā mausam
merā rishte-dār huā hai
mere dard kī zaat kā mausam
aañsū ko bhī paanī kar de
āñkhoñ ke hālāt kā mausam
baañT rahe gul mahak tabassum
phir aaya ḳhairāt kā mausam
āñkheñ band karūñ to dekhūñ
ek nazar meñ ghaat kā mausam
hai shatranj hī jīvan apnā
pai-dar-pai shah maat kā mausam
aane vaalā hai aa.egā
mere ghar barkāt kā mausam
nahīñ badaltā nahīñ badaltā
insāñ kī ādāt kā mausam
zaḳhm-e-dil ko sahlātā hai
narm narm us haath kā mausam
tum jo aañkh uThā kar dekho
raat meñ ho barsāt kā mausam
har titlī ke ḳhvāb meñ aa.e
phūloñ kī barsāt kā mausam
ham se pūchho kyā hotā hai
insānī āfāt kā mausam
bin pūchhe kyoñ aa jaatā hai
talḳh talḳh sī baat kā mausam
chāñd kī kirneñ le aatī haiñ
dil se dil kī baat kā mausam
phir phir yaad aatā hai 'panchhī'
guzar ga.e lamhāt kā mausam
har mausam barsat ka mausam
be-qabu jazbaat ka mausam
meri bansuri us ke labon par
ho to ho naghmat ka mausam
baat pate ki kah jata hai
baat baat mein baat ka mausam
koi murti ban jaegi
aaya hai him-pat ka mausam
kore kaghaz par likkha hai
honTon ki harkat ka mausam
hum chahen to aa sakta hai
wo shirin kalmat ka mausam
tere bin jiwan hai jaise
bin baadal barsat ka mausam
KHushk labon se kuchh kahta hai
bhigi bhigi raat ka mausam
mera rishte-dar hua hai
mere dard ki zat ka mausam
aansu ko bhi pani kar de
aankhon ke haalat ka mausam
banT rahe gul mahak tabassum
phir aaya KHairaat ka mausam
aankhen band karun to dekhun
ek nazar mein ghat ka mausam
hai shatranj hi jiwan apna
pai-dar-pai shah mat ka mausam
aane wala hai aaega
mere ghar barkat ka mausam
nahin badalta nahin badalta
insan ki aadat ka mausam
zaKHm-e-dil ko sahlata hai
narm narm us hath ka mausam
tum jo aankh uTha kar dekho
raat mein ho barsat ka mausam
har titli ke KHwab mein aae
phulon ki barsat ka mausam
hum se puchho kya hota hai
insani aafat ka mausam
bin puchhe kyon aa jata hai
talKH talKH si baat ka mausam
chand ki kirnen le aati hain
dil se dil ki baat ka mausam
phir phir yaad aata hai 'panchhi'
guzar gae lamhat ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.