har mausam mein Khaali-pan ki majburi ho jaoge
har mausam meñ ḳhālī-pan kī majbūrī ho jāoge
itnā us ko yaad kiyā to patthar bhī ho jāoge
hañste bhī ho rote bhī ho aaj talak to aisā hai
jab ye mausam saath na deñge tasvīrī ho jāoge
har aane jaane vaale se ghar kā rasta pūchhte ho
ḳhud ko dhokā dete dete be-ghar bhī ho jāoge
jiinā marnā kyā hotā hai ham to us din pūchheñge
jis din miTTī ke hāthoñ kī tum mehñdī ho jāoge
chhoTī chhoTī bātoñ ko bhī itnā sajā kar likhte ho
aise hī tahrīr rahī to bāzārī ho jāoge
har mausam mein KHali-pan ki majburi ho jaoge
itna us ko yaad kiya to patthar bhi ho jaoge
hanste bhi ho rote bhi ho aaj talak to aisa hai
jab ye mausam sath na denge taswiri ho jaoge
har aane jaane wale se ghar ka rasta puchhte ho
KHud ko dhoka dete dete be-ghar bhi ho jaoge
jina marna kya hota hai hum to us din puchhenge
jis din miTTi ke hathon ki tum mehndi ho jaoge
chhoTi chhoTi baaton ko bhi itna saja kar likhte ho
aise hi tahrir rahi to bazari ho jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.