har moD har qadam pe ye taDpa gai mujhe
har moḌ har qadam pe ye taḌpā ga.ī mujhe
āḳhir mirī tamanna hī dafnā ga.ī mujhe
manzil kī aarzū thī vahī aarzū magar
raste na jaane kaun se dikhlā ga.ī mujhe
maiñ apnī justujū meñ thā par ishq kī chubhan
mujh ko hī mujh se chhīn ke uljhā ga.ī mujhe
mujh ko ḳhudī pe naaz thā aur be-shumār thā
merī anā kī aag hī jhulsā ga.ī mujhe
har moD har qadam pe ye taDpa gai mujhe
aaKHir meri tamanna hi dafna gai mujhe
manzil ki aarzu thi wahi aarzu magar
raste na jaane kaun se dikhla gai mujhe
main apni justuju mein tha par ishq ki chubhan
mujh ko hi mujh se chhin ke uljha gai mujhe
mujh ko KHudi pe naz tha aur be-shumar tha
meri ana ki aag hi jhulsa gai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.