har moD pe jo bante hain hushiyar bar-bar
har moḌ pe jo bante haiñ hushiyār bār-bār
ho jaate haiñ zarā meñ vo bīmār bār-bār
milte haiñ un ko fikr ke motī yahāñ sadā
aate haiñ merī bazm meñ fankār bār-bār
kal tak jo mujh se baat bhī karte nahīñ the vo
ab karte haiñ vo pyaar kā iz.hār bār-bār
chhoTā samajh ke kaam jo karte nahīñ haiñ ham
hotā hai har ghaḌī vahī dushvār bār-bār
dāman meñ kyā hai aur hai parde meñ kyā chhupā
sab kuchh bayān kartā hai aḳhbār bār-bār
dekhā nahīñ hai us ko zamāne guzar ga.e
ab to karā do yaar kā dīdār bār-bār
ye jānte hue bhī ki nuqsān hogā ḳhuub
piine ko roz jaate haiñ mai-ḳhvār bār-bār
'minhāj' merā 'ishq jo sachchā huā agar
apnī taraf bulā.eñge sarkār bār-bār
har moD pe jo bante hain hushiyar bar-bar
ho jate hain zara mein wo bimar bar-bar
milte hain un ko fikr ke moti yahan sada
aate hain meri bazm mein fankar bar-bar
kal tak jo mujh se baat bhi karte nahin the wo
ab karte hain wo pyar ka izhaar bar-bar
chhoTa samajh ke kaam jo karte nahin hain hum
hota hai har ghaDi wahi dushwar bar-bar
daman mein kya hai aur hai parde mein kya chhupa
sab kuchh bayan karta hai aKHbar bar-bar
dekha nahin hai us ko zamane guzar gae
ab to kara do yar ka didar bar-bar
ye jaante hue bhi ki nuqsan hoga KHub
pine ko roz jate hain mai-KHwar bar-bar
'minhaj' mera 'ishq jo sachcha hua agar
apni taraf bulaenge sarkar bar-bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.