har munharif nigah ko qail kiya gaya
har munharif nigāh ko qaa.il kiyā gayā
chehra lagā ke chehre pe maa.il kiyā gayā
tab jā ke terī diid ke sikke 'atā hue
āñkhoñ ko pahle kāsa-e-sā.il kiyā gayā
dānishvaroñ ko kaam to denā thā is liye
jitne bhī hal the sab ko masā.il kiyā gayā
ham ko hamāre she'r sunā.e ga.e haiñ dost
ham ko hamārī teġh se ghā.il kiyā gayā
ik nā-murād dil kī itā’at ke naam par
achchhe-bhale dimāġh ko zaa.il kiyā gayā
har munharif nigah ko qail kiya gaya
chehra laga ke chehre pe mail kiya gaya
tab ja ke teri did ke sikke 'ata hue
aankhon ko pahle kasa-e-sail kiya gaya
danishwaron ko kaam to dena tha is liye
jitne bhi hal the sab ko masail kiya gaya
hum ko hamare she'r sunae gae hain dost
hum ko hamari tegh se ghail kiya gaya
ek na-murad dil ki ita’at ke nam par
achchhe-bhale dimagh ko zail kiya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.