har-nafas bar-e-garan jis ke asar se guzre
har-nafas bār-e-garāñ jis ke asar se guzre
ye na ho phir vahī tūfān idhar se guzre
ḳhud-farebī-e-talab kahtī rahī jis ko vatan
ajnabī ham rahe jis rāhguzar se guzre
ḳhair-maqdam ko jahāñ sochā thā duniyā hogī
dekhā tak bhī na kisī ne jab udhar se guzre
jis meñ kuchh bhī nahīñ iz.hār-e-ta.assuf ke sivā
ham ab aise safar-e-azm-e-safar se guzre
jazba-e-dil vo nahīñ jis meñ kashākash hī ho
mauj-e-dil kyā na talātum na bhañvar se guzre
nā-shanās-e-diram-o-narḳh mile log 'zubair'
liye sarmāya mohabbat kā jidhar se guzre
har-nafas bar-e-garan jis ke asar se guzre
ye na ho phir wahi tufan idhar se guzre
KHud-farebi-e-talab kahti rahi jis ko watan
ajnabi hum rahe jis rahguzar se guzre
KHair-maqdam ko jahan socha tha duniya hogi
dekha tak bhi na kisi ne jab udhar se guzre
jis mein kuchh bhi nahin izhaar-e-tassuf ke siwa
hum ab aise safar-e-azm-e-safar se guzre
jazba-e-dil wo nahin jis mein kashakash hi ho
mauj-e-dil kya na talatum na bhanwar se guzre
na-shanas-e-diram-o-narKH mile log 'zubair'
liye sarmaya mohabbat ka jidhar se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.