har nafas ek mustaqil fariyaad hai
har nafas ik mustaqil fariyād hai
kitnī pur-ġham ishq kī rūdād hai
ghaT rahī haiñ mere dil kī quvvateñ
ab ye shāyad āḳhirī fariyād hai
ho ga.ī shāyad ki ab takmīl-e-ishq
varna kyuuñ shor-e-mubārakbād hai
jism pāband-e-ta.ayyun ho to ho
ruuh to har qaid se āzād hai
phir kahāñ gulshan meñ vo āsūdgī
āshiyāñ jab vaqf-e-barq-o-bād hai
dekhiye anjām-e-kār-kā.enāt
dil mirā phir mā.il-e-fariyād hai
jis meñ 'sāqib' thā vo mujh se ham-kanār
mujh ko vo manzar abhī tak yaad hai
har nafas ek mustaqil fariyaad hai
kitni pur-gham ishq ki rudad hai
ghaT rahi hain mere dil ki quwwaten
ab ye shayad aaKHiri fariyaad hai
ho gai shayad ki ab takmil-e-ishq
warna kyun shor-e-mubarakbaad hai
jism paband-e-tayyun ho to ho
ruh to har qaid se aazad hai
phir kahan gulshan mein wo aasudgi
aashiyan jab waqf-e-barq-o-baad hai
dekhiye anjam-e-kar-kaenat
dil mera phir mail-e-fariyaad hai
jis mein 'saqib' tha wo mujh se ham-kanar
mujh ko wo manzar abhi tak yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.