har nafas pul-siraat hai bhai
har nafas pul-sirāt hai bhaa.ī
imtihān-e-hayāt hai bhaa.ī
hādse muskurā ke milte haiñ
haath meñ un kā haath hai bhaa.ī
chāñd taare saje hue haiñ magar
raat kaisī ho raat hai bhaa.ī
ġham nahīñ ham-safar nahīñ koī
hausla bhī to saath hai bhaa.ī
sab jise shā'irī samajhte haiñ
qalb kī vārdāt hai bhaa.ī
shab meñ faaqa ḳhudā pe hai takiya
'mast' kī kā.enāt hai bhaa.ī
har nafas pul-siraat hai bhai
imtihan-e-hayat hai bhai
hadse muskura ke milte hain
hath mein un ka hath hai bhai
chand tare saje hue hain magar
raat kaisi ho raat hai bhai
gham nahin ham-safar nahin koi
hausla bhi to sath hai bhai
sab jise sha'iri samajhte hain
qalb ki wardat hai bhai
shab mein faqa KHuda pe hai takiya
'mast' ki kaenat hai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.