har nafas taza musibat umr bhar dekha kiye
har nafas taza musibat umr bhar dekha kiye
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
har nafas taaza musībat umr bhar dekhā kiye
dekhne kī shai na thī duniyā magar dekhā kiye
jis qayāmat se Darātā bhī hai Dartā bhī hai shaiḳh
Thokaroñ meñ aap kī shām-o-sahar dekhā kiye
tum to āsūda shab-e-va.ada the ḳhvāb-e-nāz meñ
shab se le kar sub.h tak ham sū-e-dar dekhā kiye
barhamī un kī adū ke zulm gardūñ ke sitam
ye to dekho āfateñ ham kis qadar dekhā kiye
allāh allāh kis qadar thā naaz un kī diid par
gāhe-gāhe ḳhud ko bhī ham ik nazar dekhā kiye
aap hī ik har taraf jalva-numā the be-hijāb
aap ko dekhā kiye aur umr bhar dekhā kiye
ham ko har sajda thā 'qaisar' tāj-e-shāhī se sivā
sar kī qīmat āstān-e-dost par dekhā kiye
har nafas taza musibat umr bhar dekha kiye
dekhne ki shai na thi duniya magar dekha kiye
jis qayamat se Daraata bhi hai Darta bhi hai shaiKH
Thokaron mein aap ki sham-o-sahar dekha kiye
tum to aasuda shab-e-wada the KHwab-e-naz mein
shab se le kar subh tak hum su-e-dar dekha kiye
barhami un ki adu ke zulm gardun ke sitam
ye to dekho aafaten hum kis qadar dekha kiye
allah allah kis qadar tha naz un ki did par
gahe-gahe KHud ko bhi hum ek nazar dekha kiye
aap hi ek har taraf jalwa-numa the be-hijab
aap ko dekha kiye aur umr bhar dekha kiye
hum ko har sajda tha 'qaisar' taj-e-shahi se siwa
sar ki qimat aastan-e-dost par dekha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.