har-nafas tazkira-e-zulf-e-dota karte hain
har-nafas tazkira-e-zulf-e-dotā karte haiñ
ghar meñ baiThe hue ham yād-e-ḳhudā karte haiñ
kuchh is andāz se vo mujh se jafā karte haiñ
log duniyā ke samajhte haiñ vafā karte haiñ
dil kī duniyā meñ hamesha jo basā karte haiñ
shaad rakhte haiñ na ābād kiyā karte haiñ
us ke andāz-o-adā saaf kahā karte haiñ
tiir vo haiñ ki jo āñkhoñ se chalā karte haiñ
kabhī ibrat kabhī hasrat kā banā kar ḳhāka
aap miTTī mirī barbād kiyā karte haiñ
zindagī kyā hai mohabbat meñ na ho jo barbād
tujh pe jo marte nahīñ ḳhaak jiyā karte haiñ
dil mirā baaġh hai us gul kī mohabbat meñ 'qadīr'
ab mire siine meñ bhī phuul khilā karte haiñ
har-nafas tazkira-e-zulf-e-dota karte hain
ghar mein baiThe hue hum yaad-e-KHuda karte hain
kuchh is andaz se wo mujh se jafa karte hain
log duniya ke samajhte hain wafa karte hain
dil ki duniya mein hamesha jo basa karte hain
shad rakhte hain na aabaad kiya karte hain
us ke andaz-o-ada saf kaha karte hain
tir wo hain ki jo aankhon se chala karte hain
kabhi ibrat kabhi hasrat ka bana kar KHaka
aap miTTi meri barbaad kiya karte hain
zindagi kya hai mohabbat mein na ho jo barbaad
tujh pe jo marte nahin KHak jiya karte hain
dil mera bagh hai us gul ki mohabbat mein 'qadir'
ab mere sine mein bhi phul khila karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.