har nafas tez aanch par kyon hai
har nafas tez aañch par kyoñ hai
ḳhauf-e-tanhā.ī is qadar kyoñ hai
ibtidā qaid intihā bhī qaid
phir ye tafhīm-e-bāl-o-par kyoñ hai
dil agar muntazir nahīñ us kā
phir ye taz.īn-e-bām-o-dar kyoñ hai
apne saa.e se bhī hai nā-vāqif
aadmī itnā be-ḳhabar kyoñ hai
be-zabāñ hai ye terī nazroñ meñ
phir tujhe aa.ine kā Dar kyoñ hai
ḳhud ko dushman bhī vo nahīñ kahtā
dost gar hai to be-zarar kyoñ hai
apne rang-e-hijāb se pūchho
'rāz' shā.ista-e-nazar kyoñ hai
har nafas tez aanch par kyon hai
KHauf-e-tanhai is qadar kyon hai
ibtida qaid intiha bhi qaid
phir ye tafhim-e-baal-o-par kyon hai
dil agar muntazir nahin us ka
phir ye tazin-e-baam-o-dar kyon hai
apne sae se bhi hai na-waqif
aadmi itna be-KHabar kyon hai
be-zaban hai ye teri nazron mein
phir tujhe aaine ka Dar kyon hai
KHud ko dushman bhi wo nahin kahta
dost gar hai to be-zarar kyon hai
apne rang-e-hijab se puchho
'raaz' shaista-e-nazar kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.