har-nafas wardat hai yaro
har-nafas vārdāt hai yaaro
kashmakash meñ hayāt hai yaaro
bazm meñ itnī gahrī ḳhāmoshī
raaz kī koī baat hai yaaro
āshnā ajnabī meñ bhed nahīñ
har taraf jaise raat hai yaaro
mere dil ko qarīb se dekho
markaz-e-hādsāt hai yaaro
dostī aur is zamāne meñ
kis qadar be-sabāt hai yaaro
ġham ke afsāne yuuñ na aam karo
ye mirī kā.enāt hai yaaro
ḳhud-farāmosh ho chalā hai 'vasī'
kis kā ye iltifāt hai yaaro
har-nafas wardat hai yaro
kashmakash mein hayat hai yaro
bazm mein itni gahri KHamoshi
raaz ki koi baat hai yaro
aashna ajnabi mein bhed nahin
har taraf jaise raat hai yaro
mere dil ko qarib se dekho
markaz-e-hadsat hai yaro
dosti aur is zamane mein
kis qadar be-sabaat hai yaro
gham ke afsane yun na aam karo
ye meri kaenat hai yaro
KHud-faramosh ho chala hai 'wasi'
kis ka ye iltifat hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.