har nai sham suhani to nahin hoti hai
har na.ī shaam suhānī to nahīñ hotī hai
aur har 'umr javānī to nahīñ hotī hai
tum ne ehsān kiyā thā so jatāyā tum ne
jo mohabbat ho jatānī to nahīñ hotī hai
dosto sach kaho kab dil ko qarār aa.egā
har ghaḌī aas bañdhānī to nahīñ hotī hai
dil meñ jo aag lagī hai vo lagī rahne de
yaar har aag bujhānī to nahīñ hotī hai
jab bhī milte haiñ chaTak uThte haiñ kaliyoñ kī tarah
dostī ho to purānī to nahīñ hotī hai
bārhā us kī galī se ye guzar kar sochā
har galī chhoḌ ke jaanī to nahīñ hotī hai
mauj hotī hai kahīñ aur bhañvar hote haiñ
sirf dariyā meñ ravānī to nahīñ hotī hai
duur ho kar bhī vo nazdīk hai qurbat yā'nī
az-rah-e-qurb makānī to nahīñ hotī hai
shā.iba jis meñ haqīqat kā nahīñ ho 'ajmal'
vo kahānī bhī kahānī to nahīñ hotī hai
har nai sham suhani to nahin hoti hai
aur har 'umr jawani to nahin hoti hai
tum ne ehsan kiya tha so jataya tum ne
jo mohabbat ho jatani to nahin hoti hai
dosto sach kaho kab dil ko qarar aaega
har ghaDi aas bandhani to nahin hoti hai
dil mein jo aag lagi hai wo lagi rahne de
yar har aag bujhani to nahin hoti hai
jab bhi milte hain chaTak uThte hain kaliyon ki tarah
dosti ho to purani to nahin hoti hai
barha us ki gali se ye guzar kar socha
har gali chhoD ke jaani to nahin hoti hai
mauj hoti hai kahin aur bhanwar hote hain
sirf dariya mein rawani to nahin hoti hai
dur ho kar bhi wo nazdik hai qurbat ya'ni
az-rah-e-qurb makani to nahin hoti hai
shaiba jis mein haqiqat ka nahin ho 'ajmal'
wo kahani bhi kahani to nahin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.