har naqsh hawa ho ke bikhar jaega aaKHir
har naqsh havā ho ke bikhar jā.egā āḳhir
'ḳhālid' tirā ehsās bhī mar jā.egā āḳhir
miT jā.egā ḳhvāhish kā nishāñ maut ke hāthoñ
ye saañp bhī siine se utar jā.egā āḳhir
din jis ke liye raat baḌe karb meñ kaaTī
sāyoñ ke ta.āqub meñ guzar jā.egā āḳhir
maiñ ḳhauf huuñ baiThā huuñ kamīñ-gāh-e-fanā meñ
tū bach ke mirī zad se kidhar jā.egā āḳhir
jo saa.e ke mānind ravāñ hai mire hamrāh
vo shaḳhs bhī tanhā mujhe kar jā.egā āḳhir
har naqsh hawa ho ke bikhar jaega aaKHir
'KHalid' tera ehsas bhi mar jaega aaKHir
miT jaega KHwahish ka nishan maut ke hathon
ye sanp bhi sine se utar jaega aaKHir
din jis ke liye raat baDe karb mein kaTi
sayon ke taaqub mein guzar jaega aaKHir
main KHauf hun baiTha hun kamin-gah-e-fana mein
tu bach ke meri zad se kidhar jaega aaKHir
jo sae ke manind rawan hai mere hamrah
wo shaKHs bhi tanha mujhe kar jaega aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.