har naya moD hai jada meri manzil to nahin
har nayā moḌ hai jaada mirī manzil to nahīñ
jo tamannā hai mire dil meñ vo hāsil to nahīñ
kis liye aap ko andesha-e-rusvā.ī hai
darmiyāñ aap ke mere koī haa.il to nahīñ
merī barbādī kā ehsās tujhe kaise huā
tere pahlū meñ mirā TuuTā huā dil to nahīñ
kis liye aap ko ye shauq-e-ḳhud-ārā.ī hai
aa.ina sāmne hai koī muqābil to nahīñ
aap kyoñ itne pareshān nazar aate haiñ
apnī mahfil hai kisī aur kī mahfil to nahīñ
ye vahī kahte haiñ mālūm nahīñ jin ko 'razā'
ishq karnā bahut āsān hai mushkil to nahīñ
har naya moD hai jada meri manzil to nahin
jo tamanna hai mere dil mein wo hasil to nahin
kis liye aap ko andesha-e-ruswai hai
darmiyan aap ke mere koi hail to nahin
meri barbaadi ka ehsas tujhe kaise hua
tere pahlu mein mera TuTa hua dil to nahin
kis liye aap ko ye shauq-e-KHud-arai hai
aaina samne hai koi muqabil to nahin
aap kyon itne pareshan nazar aate hain
apni mahfil hai kisi aur ki mahfil to nahin
ye wahi kahte hain malum nahin jin ko 'raza'
ishq karna bahut aasan hai mushkil to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.