har nazare mein hain sau partaw-e-jaanan paida
har nazare mein hain sau partaw-e-jaanan paida
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
har nazāre meñ haiñ sau partav-e-jānāñ paidā
kyuuñ na ho dekhne vaale meñ na.ī jaañ paidā
tarab-e-dil se bayābāñ bhī hai rashk-e-gulshan
dil ho nā-ḳhush to ho gulshan meñ bayābāñ paidā
jin kī taqdīs kī khāte haiñ farishte bhī qasam
ham gunahgāroñ meñ hote haiñ vo insāñ paidā
kar hī Dālegī havā-e-chaman-e-dahr malūl
sūrat-e-gul bhī agar koī ho ḳhandāñ paidā
zulmat-e-yās meñ ummīd kī pinhāñ thī jhalak
parda-e-shab se huā nayyar-e-tābāñ paidā
ġhaib se himmat-e-mardāna ko miltī hai madad
azm-e-rāsiḳh ho to ho jaate haiñ sāmāñ paidā
māya-e-nāzish-e-daurāñ ye pareshānī hai
roz hote haiñ kahāñ ham se pareshāñ paidā
haq ne shā.ir ke taḳhayyul ko vo qudrat baḳhshī
zarra-e-ḳhāk se kar de chamanistāñ paidā
har nazare mein hain sau partaw-e-jaanan paida
kyun na ho dekhne wale mein nai jaan paida
tarab-e-dil se bayaban bhi hai rashk-e-gulshan
dil ho na-KHush to ho gulshan mein bayaban paida
jin ki taqdis ki khate hain farishte bhi qasam
hum gunahgaron mein hote hain wo insan paida
kar hi Dalegi hawa-e-chaman-e-dahr malul
surat-e-gul bhi agar koi ho KHandan paida
zulmat-e-yas mein ummid ki pinhan thi jhalak
parda-e-shab se hua nayyar-e-taban paida
ghaib se himmat-e-mardana ko milti hai madad
azm-e-rasiKH ho to ho jate hain saman paida
maya-e-nazish-e-dauran ye pareshani hai
roz hote hain kahan hum se pareshan paida
haq ne shair ke taKHayyul ko wo qudrat baKHshi
zarra-e-KHak se kar de chamanistan paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.