har nazar ko hashr mein ek hashr barpa chahiye
har nazar ko hashr meñ ik hashr barpā chāhiye
aur unheñ mahshar meñ bhī sar kā dupaTTa chāhiye
banda-parvar ye khilaunā to nahīñ jo pheñk deñ
saaf kah diije nahīñ dil chāhiye yā chāhiye
dījiye do chaar tohfe meñ ġhazab kī gāliyāñ
ham ko agle maah kā is maah ḳharcha chāhiye
de ga.e ġhair apnā dil tohfe meñ un ko aur ham
pūchhte hī rah ga.e kyā chāhiye kyā chāhiye
sharm meñ inkār vo bose ko karte rah ga.e
phir jhijhak kar kah diyā āḳhir ko achchhā chāhiye
jaan jaa.e par nahīñ manzūr 'hāris' marg-e-dil
'āshiqoñ kā qabr meñ bhī dil machalnā chāhiye
har nazar ko hashr mein ek hashr barpa chahiye
aur unhen mahshar mein bhi sar ka dupaTTa chahiye
banda-parwar ye khilauna to nahin jo phenk den
saf kah dije nahin dil chahiye ya chahiye
dijiye do chaar tohfe mein ghazab ki galiyan
hum ko agle mah ka is mah KHarcha chahiye
de gae ghair apna dil tohfe mein un ko aur hum
puchhte hi rah gae kya chahiye kya chahiye
sharm mein inkar wo bose ko karte rah gae
phir jhijhak kar kah diya aaKHir ko achchha chahiye
jaan jae par nahin manzur 'haaris' marg-e-dil
'ashiqon ka qabr mein bhi dil machalna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.