har paikar-e-ranai ne mujhe teri hi yaad dilai hai
har paikar-e-rānā.ī ne mujhe terī hī yaad dilā.ī hai
kuchh ishq mirā harjā.ī hai kuchh husn tirā harjā.ī hai
haañ soch samajh kar jān-e-vafā maiñ vo patthar huuñ kināre kā
jo mauj bhañvar se niklī hai uTh kar mujh se Takrā.ī hai
Thahrāv hai vaz-e-sāhil meñ tūfāñ to nahīñ barpā dil meñ
kajlā to chalā hai angāra aise meñ havā purvā.ī hai
chāhat meñ kisī kī jiitā huuñ sūrat pe kisī kī martā huuñ
ye jiinā mujh ko bhāyā hai ye maut mujhe raas aa.ī hai
kuchh terā bhī armān rahe aur kuchh apnā bhī dhyān rahe
itnī to mujhe pahchān rahe ye vasl hai yā tanhā.ī hai
ye lambī raat ye be-ḳhvābī ye karvaT karvaT betābī
mausam ke basantī chhīñToñ ne kyā aag jigar meñ lagā.ī hai
ai ahl-e-ḳhirad ham dīvāne jab sū-e-chaman jā nikle haiñ
kāñToñ ko sar par rakkhā hai phūloñ se aañkh churā.ī hai
har paikar-e-ranai ne mujhe teri hi yaad dilai hai
kuchh ishq mera harjai hai kuchh husn tera harjai hai
han soch samajh kar jaan-e-wafa main wo patthar hun kinare ka
jo mauj bhanwar se nikli hai uTh kar mujh se Takrai hai
Thahraw hai waz-e-sahil mein tufan to nahin barpa dil mein
kajla to chala hai angara aise mein hawa purwai hai
chahat mein kisi ki jita hun surat pe kisi ki marta hun
ye jina mujh ko bhaya hai ye maut mujhe ras aai hai
kuchh tera bhi arman rahe aur kuchh apna bhi dhyan rahe
itni to mujhe pahchan rahe ye wasl hai ya tanhai hai
ye lambi raat ye be-KHwabi ye karwaT karwaT betabi
mausam ke basanti chhinTon ne kya aag jigar mein lagai hai
ai ahl-e-KHirad hum diwane jab su-e-chaman ja nikle hain
kanTon ko sar par rakkha hai phulon se aankh churai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.