har pal jo kaTti hai mujhe dhaar hi to hai
har pal jo kāTtī hai mujhe dhaar hī to hai
'ikrām' apnī saañs bhī talvār hī to hai
ūñchī imāratoñ ke nagar meñ mire liye
jā-e-panāh sāya-e-dīvār hī to hai
haTtī hai sāmne se mire kab ye dekhiye
apnī anā bhī raah kī dīvār hī to hai
raddī ke bhaav bechne nikle hue haiñ log
ye zindagī paḌhā huā aḳhbār hī to hai
har pal jo kaTti hai mujhe dhaar hi to hai
'ikram' apni sans bhi talwar hi to hai
unchi imaraton ke nagar mein mere liye
ja-e-panah saya-e-diwar hi to hai
haTti hai samne se mere kab ye dekhiye
apni ana bhi rah ki diwar hi to hai
raddi ke bhaw bechne nikle hue hain log
ye zindagi paDha hua aKHbar hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.