har pal tha lala-zar abhi kal ki baat hai
har pal thā lāla-zār abhī kal kī baat hai
har gul pe thā nikhār abhī kal kī baat hai
jo dekhte haiñ chashm-e-hiqārat se ab mujhe
karte the mujh se pyaar abhī kal kī baat hai
mere chaman meñ kis liye pābandiyāñ haiñ aaj
thā mujh ko iḳhtiyār abhī kal kī baat hai
jo dekh kar nigāh bachā kar chale ga.e
karte the intizār abhī kal kī baat hai
'ramman' ko ab bhī apnī mohabbat pe naaz hai
tum bā-vafā the yaar abhī kal kī baat hai
har pal tha lala-zar abhi kal ki baat hai
har gul pe tha nikhaar abhi kal ki baat hai
jo dekhte hain chashm-e-hiqarat se ab mujhe
karte the mujh se pyar abhi kal ki baat hai
mere chaman mein kis liye pabandiyan hain aaj
tha mujh ko iKHtiyar abhi kal ki baat hai
jo dekh kar nigah bacha kar chale gae
karte the intizar abhi kal ki baat hai
'ramman' ko ab bhi apni mohabbat pe naz hai
tum ba-wafa the yar abhi kal ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.