har pari-wash ko KHuda taslim kar leta hun main
har parī-vash ko ḳhudā taslīm kar letā huuñ maiñ
kitnā saudā.ī huuñ kyā taslīm kar letā huuñ maiñ
mai chhuTī par gaahe gaahe ab bhī bahar-ehtirām
da.avat-e-āb-o-havā taslīm kar letā huuñ maiñ
be-vafā maiñ ne mohabbat se kahā thā aap ko
lījiye ab bā-vafā taslīm kar letā huuñ maiñ
jo añdherā terī zulfoñ kī tarah shādāb ho
us añdhere ko ziyā taslīm kar letā huuñ maiñ
jurm to koī nahīñ sarzad huā mujh se huzūr
bāvajūd us ke sazā taslīm kar letā huuñ maiñ
jab baġhair us ke na hotī ho ḳhalāsī ai 'adam'
rahzanoñ ko rahnumā taslīm kar letā huuñ maiñ
har pari-wash ko KHuda taslim kar leta hun main
kitna saudai hun kya taslim kar leta hun main
mai chhuTi par gahe gahe ab bhi bahar-ehtiram
dawat-e-ab-o-hawa taslim kar leta hun main
be-wafa main ne mohabbat se kaha tha aap ko
lijiye ab ba-wafa taslim kar leta hun main
jo andhera teri zulfon ki tarah shadab ho
us andhere ko ziya taslim kar leta hun main
jurm to koi nahin sarzad hua mujh se huzur
bawajud us ke saza taslim kar leta hun main
jab baghair us ke na hoti ho KHalasi ai 'adam'
rahzanon ko rahnuma taslim kar leta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.