har parinde ki baat sunta hai
har parinde kī baat suntā hai
be-zabāñ peḌ sab se achchhā hai
jis qadar ham ne bhed samjhā hai
koī manzil na koī rasta hai
in añdheroñ ko kis liye koseñ
raushnī ban ke phuul khiltā hai
chalne vaalā nikal gayā aage
qāfila rāste meñ Thahrā hai
jis kī ḳhātir haiñ jāgte rahe ham
vo abhī pālne meñ sotā hai
in dinoñ maiñ huuñ tanhā tanhā sā
ek gum-sum ḳhayāl rahtā hai
be-gharoñ ke qadam nahīñ rukte
un kā āñgan tamām duniyā hai
dil bahaltā hujūm meñ rah kar
ḳhud se Dartā huā vo tanhā hai
kal kī bātoñ se be-ḳhabar ham haiñ
saat janmoñ kā kyā bharosā hai
har parinde ki baat sunta hai
be-zaban peD sab se achchha hai
jis qadar hum ne bhed samjha hai
koi manzil na koi rasta hai
in andheron ko kis liye kosen
raushni ban ke phul khilta hai
chalne wala nikal gaya aage
qafila raste mein Thahra hai
jis ki KHatir hain jagte rahe hum
wo abhi palne mein sota hai
in dinon main hun tanha tanha sa
ek gum-sum KHayal rahta hai
be-gharon ke qadam nahin rukte
un ka aangan tamam duniya hai
dil bahalta hujum mein rah kar
KHud se Darta hua wo tanha hai
kal ki baaton se be-KHabar hum hain
sat janmon ka kya bharosa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.