har phul pe mali ka ijara nahin hota
har phuul pe maalī kā ijāra nahīñ hotā
har shāḳh pe chiḌiyoñ kā baserā nahīñ hotā
aa jaate the pahle jo madārī nahīñ aate
ab gaañv kī galiyoñ meñ tamāshā nahīñ hotā
ab taaza gulāboñ se bhī ḳhushbū nahīñ aatī
mausam bhī bahāroñ kā suhānā nahīñ hotā
muflis pe amīroñ kī 'ināyat nahīñ hotī
majlis meñ ġharīboñ kā Thikānā nahīñ hotā
mil baiTh ke huqqe kī rivāyat nahīñ baaqī
ab gaañv meñ dukh-dard pe charchā nahīñ hotā
har baar mayassar ho suhūlat nahīñ mumkin
āsānī se har kaam hamesha nahīñ hotā
har phul pe mali ka ijara nahin hota
har shaKH pe chiDiyon ka basera nahin hota
aa jate the pahle jo madari nahin aate
ab ganw ki galiyon mein tamasha nahin hota
ab taza gulabon se bhi KHushbu nahin aati
mausam bhi bahaaron ka suhana nahin hota
muflis pe amiron ki 'inayat nahin hoti
majlis mein gharibon ka Thikana nahin hota
mil baiTh ke huqqe ki riwayat nahin baqi
ab ganw mein dukh-dard pe charcha nahin hota
har bar mayassar ho suhulat nahin mumkin
aasani se har kaam hamesha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.