har qadam duaon mein mere sath chalti hai
har qadam duāoñ meñ mere saath chaltī hai
tab lakīr qismat kī ḳhud-baḳhud badaltī hai
ḳhud-baḳhud baḌhegā qad haath meñ hunar ho to
ik hunar se hī sab ko kāmyābī miltī hai
jab se kāmyābī ne mere haiñ qadam chūme
kyā batā.ūñ ye duniyā kitnā mujh se jaltī hai
baat ye zamāne ko kyoñ samajh nahīñ aatī
ho duā jo maañ kī to har balā hī Taltī hai
'ā.isha' nahīñ miltā ab sukūñ binā maañ ke
aaj bhī kamī un kī mujh ko bejā khaltī hai
har qadam duaon mein mere sath chalti hai
tab lakir qismat ki KHud-baKHud badalti hai
KHud-baKHud baDhega qad hath mein hunar ho to
ek hunar se hi sab ko kaamyabi milti hai
jab se kaamyabi ne mere hain qadam chume
kya bataun ye duniya kitna mujh se jalti hai
baat ye zamane ko kyon samajh nahin aati
ho dua jo man ki to har bala hi Talti hai
'aisha' nahin milta ab sukun bina man ke
aaj bhi kami un ki mujh ko beja khalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.