har qadam gard-e-hawadis mein chhupaya hai mujhe
har qadam gard-e-havādis meñ chhupāyā hai mujhe
gardish-e-vaqt ne afsāna banāyā hai mujhe
maiñ to ik nūr-e-ma’ānī huuñ na sūrat na sadā
kitne chehroñ kī naqāboñ meñ chhupāyā hai mujhe
maiñ to ik sūkhā huā phuul huuñ pāmāl-e-ḳhizāñ
tum ne kyā soch ke āñkhoñ se lagāyā hai mujhe
mere mā’būd mujhe phuul banāyā tū ne
kyoñ magar sīna-e-sahrā pe khilāyā hai mujhe
TūTte rahte haiñ ḳhanjar se mire siine meñ
yād-e-māzī ne ye kyā rog lagāyā hai mujhe
har qadam gard-e-hawadis mein chhupaya hai mujhe
gardish-e-waqt ne afsana banaya hai mujhe
main to ek nur-e-ma’ani hun na surat na sada
kitne chehron ki naqabon mein chhupaya hai mujhe
main to ek sukha hua phul hun pamal-e-KHizan
tum ne kya soch ke aankhon se lagaya hai mujhe
mere ma’bud mujhe phul banaya tu ne
kyon magar sina-e-sahra pe khilaya hai mujhe
TuTte rahte hain KHanjar se mere sine mein
yaad-e-mazi ne ye kya rog lagaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.