har qadam ek KHat-e-eajaz mein rakkhe hue hain
har qadam ik ḳhat-e-e.ajāz meñ rakkhe hue haiñ
vo ram-o-raft kis andāz meñ rakkhe hue haiñ
umr bhar un ke ta.āqub meñ rahe aur khulā
ḳhāk-paimā.ī ko āġhāz meñ rakkhe hue haiñ
ek rasmī sā ta.āruf thā mulāqāt na thī
aur ham saada use raaz meñ rakkhe hue haiñ
qumrī-o-bulbul-o-tā.ūs-o-rubāb-o-nai-o-chañg
sab usī husn ko āvāz meñ rakkhe hue haiñ
ye jo palkoñ meñ dam-e-shab haiñ chale aa.e charāġh
kisī mahtāb ke andāz meñ rakkhe hue haiñ
vo ruḳh-e-husn-e-samā.at hai kisī aur taraf
ham abas dard ko āvāz meñ rakkhe hue haiñ
har qadam ek KHat-e-eajaz mein rakkhe hue hain
wo ram-o-raft kis andaz mein rakkhe hue hain
umr bhar un ke taaqub mein rahe aur khula
KHak-paimai ko aaghaz mein rakkhe hue hain
ek rasmi sa taaruf tha mulaqat na thi
aur hum sada use raaz mein rakkhe hue hain
qumri-o-bulbul-o-taus-o-rubab-o-nai-o-chang
sab usi husn ko aawaz mein rakkhe hue hain
ye jo palkon mein dam-e-shab hain chale aae charagh
kisi mahtab ke andaz mein rakkhe hue hain
wo ruKH-e-husn-e-samaat hai kisi aur taraf
hum abas dard ko aawaz mein rakkhe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.