har qadam par dozaKH-e-tashkik hai
har qadam par dozaḳh-e-tashkīk hai
hai yaqīñ hamrāh to phir Thiik hai
hai vasā.il par sabhī kuchh munhasir
duur kyā hai aur kyā nazdīk hai
baat haañ me'yār kī kuchh aur hai
varna tohfa kyā hai aslan bhiik hai
'ishq yuuñ to ek 'ālam par muhīt
varna bas ik nukta-e-bārīk hai
uljhaneñ pechīdgī lā-samtiyat
paañv shal haiñ rāsta tārīk hai
maiñ jo kahtā huuñ ġhalat aur nāravā
aap jo kah deñ bajā hai Thiik hai
chāñd hai lekin hai gahnāyā huā
raushnī to hai magar tārīk hai
aaj phir 'rāhī' koī taaza ġhazal
zehn meñ phir ik na.ī tahrīk hai
har qadam par dozaKH-e-tashkik hai
hai yaqin hamrah to phir Thik hai
hai wasail par sabhi kuchh munhasir
dur kya hai aur kya nazdik hai
baat han me'yar ki kuchh aur hai
warna tohfa kya hai aslan bhik hai
'ishq yun to ek 'alam par muhit
warna bas ek nukta-e-barik hai
uljhanen pechidgi la-samtiyat
panw shal hain rasta tarik hai
main jo kahta hun ghalat aur narawa
aap jo kah den baja hai Thik hai
chand hai lekin hai gahnaya hua
raushni to hai magar tarik hai
aaj phir 'rahi' koi taza ghazal
zehn mein phir ek nai tahrik hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.