har qadam par nae aazar hua karte hain
har qadam par na.e āzār huā karte haiñ
marhale shauq ke dushvār huā karte haiñ
marsiya paḌhtā huuñ dil kā to ġhazal bantī hai
mere alfāz azādār huā karte haiñ
raqs-e-bismil ke muqaddar meñ hai dasht-o-sahrā
aur mujre sar-e-bāzār huā karte haiñ
vo alag daur thā jab 'ishq pe kuchh zor na thā
ab ke 'āshiq baḌe hushiyār huā karte haiñ
masnad-e-dars-e-suḳhan par bhī suḳhan-fahm nahīñ
sirf ġhālib ke taraf-dār huā karte haiñ
husn-e-zāhir kī haqīqat nahīñ khultī jab tak
log marne ko bhī tayyār huā karte haiñ
muskurāte hue āñkheñ bhī chhalak paḌtī haiñ
dard-e-dil yaar pur-asrār huā karte haiñ
tum ki bāzār meñ aate ho numā.ish ke liye
ham numā.ish ke ḳharīdār huā karte haiñ
baat is baat meñ hai jis se koī baat bane
yuuñ latīfe bhī mazedār huā karte haiñ
zindagī saf.ha-e-taqdīr kā afsāna hai
ham haqīqat meñ adākār huā karte haiñ
āḳhirī nān-e-shabīna kī talab meñ 'nāsir'
roz bāzār meñ ham ḳhvār huā karte haiñ
har qadam par nae aazar hua karte hain
marhale shauq ke dushwar hua karte hain
marsiya paDhta hun dil ka to ghazal banti hai
mere alfaz azadar hua karte hain
raqs-e-bismil ke muqaddar mein hai dasht-o-sahra
aur mujre sar-e-bazar hua karte hain
wo alag daur tha jab 'ishq pe kuchh zor na tha
ab ke 'ashiq baDe hushiyar hua karte hain
masnad-e-dars-e-suKHan par bhi suKHan-fahm nahin
sirf ghaalib ke taraf-dar hua karte hain
husn-e-zahir ki haqiqat nahin khulti jab tak
log marne ko bhi tayyar hua karte hain
muskuraate hue aankhen bhi chhalak paDti hain
dard-e-dil yar pur-asrar hua karte hain
tum ki bazar mein aate ho numaish ke liye
hum numaish ke KHaridar hua karte hain
baat is baat mein hai jis se koi baat bane
yun latife bhi mazedar hua karte hain
zindagi safha-e-taqdir ka afsana hai
hum haqiqat mein adakar hua karte hain
aaKHiri nan-e-shabina ki talab mein 'nasir'
roz bazar mein hum KHwar hua karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.