har qadam par rang-e-duniya dekhna aur sochna
har qadam par rang-e-duniyā dekhnā aur sochnā
mashġhala Thahrā tamāsha dekhnā aur sochnā
phūTtī haiñ kis tasalsul se shuā.eñ husn kī
ik nazar terā sarāpā dekhnā aur sochnā
jhāñkte rahnā tirī mahfil kī ik ik aañkh meñ
aur phir ik ek chehra dekhnā aur sochnā
kis qadar be-sāḳhta-pan chāhtī hai zindagī
shāḳh se uḌtā parinda dekhnā aur sochnā
ik taraf ātish bapā ābādiyoñ ke silsile
ik taraf raftār-e-sahrā dekhnā aur sochnā
is ko be-samtī kahūñ yā apnā andāz-e-nazar
ek be-unvān rasta dekhnā aur sochnā
har qadam par rang-e-duniya dekhna aur sochna
mashghala Thahra tamasha dekhna aur sochna
phuTti hain kis tasalsul se shuaen husn ki
ek nazar tera sarapa dekhna aur sochna
jhankte rahna teri mahfil ki ek ek aankh mein
aur phir ek ek chehra dekhna aur sochna
kis qadar be-saKHta-pan chahti hai zindagi
shaKH se uDta parinda dekhna aur sochna
ek taraf aatish bapa aabaadiyon ke silsile
ek taraf raftar-e-sahra dekhna aur sochna
is ko be-samti kahun ya apna andaz-e-nazar
ek be-unwan rasta dekhna aur sochna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.