har qadam rah-e-wafa DhunDne wala tera
har qadam rāh-e-vafā DhūñDne vaalā terā
ab kahāñ jaa.e batā chāhne vaalā terā
jaane vaale ne to har gaam pe muḌ kar dekhā
ik ishāra na milā rokne vaalā terā
ahl-e-sāhil ye kaheñ dekh ke tuġhyānī ko
ab kināre na lagā Dūbne vaalā terā
sāneha hai koī sayyād ke pīchhe pīchhe
bach na pā.egā burā sochne vaalā terā
dekh saktī nahīñ duniyā to shikāyat kaisī
dekhtā hai vo sabhī dekhne vaalā terā
har qadam rah-e-wafa DhunDne wala tera
ab kahan jae bata chahne wala tera
jaane wale ne to har gam pe muD kar dekha
ek ishaara na mila rokne wala tera
ahl-e-sahil ye kahen dekh ke tughyani ko
ab kinare na laga Dubne wala tera
saneha hai koi sayyaad ke pichhe pichhe
bach na paega bura sochne wala tera
dekh sakti nahin duniya to shikayat kaisi
dekhta hai wo sabhi dekhne wala tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.