har qadam wahshat bala aazad tha
har qadam vahshat balā āzād thā
rāsta kitnī baḌī dīvār thā
vo to apnī gumrahī kaam aa ga.ī
varna jangal bhī baḌā ayyār thā
ḳhaak rasta roktī kāġhaz kī naav
yuuñ bhī apnā ghar nadī ke paar thā
dekhiye to maiñ hī maiñ thā duur tak
sochiye to maiñ hī be-iz.hār thā
sar-bulandī kā pata mat pūchhiye
jis kā sar neze pe thā sardār thā
zindagī majbūr thī kaTtī rahī
har-nafas chaltī huī talvār thā
phir bulandī par hamārī ḳhaak hai
āsmāñ dīvār hai dīvār thā
har qadam wahshat bala aazad tha
rasta kitni baDi diwar tha
wo to apni gumrahi kaam aa gai
warna jangal bhi baDa ayyar tha
KHak rasta rokti kaghaz ki naw
yun bhi apna ghar nadi ke par tha
dekhiye to main hi main tha dur tak
sochiye to main hi be-izhaar tha
sar-bulandi ka pata mat puchhiye
jis ka sar neze pe tha sardar tha
zindagi majbur thi kaTti rahi
har-nafas chalti hui talwar tha
phir bulandi par hamari KHak hai
aasman diwar hai diwar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.