Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har rah apni rahguzar hai musafiro

Shahid Ahmad Shoaib

har rah apni rahguzar hai musafiro

Shahid Ahmad Shoaib

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    har raah apnī rāhguzar hai musāfiro

    mauhūm phir bhī apnā safar hai musāfiro

    mujh se miltā-jultā koī shaḳhs thā yahāñ

    mujh ko batāo ab vo kidhar hai musāfiro

    jaltī huī havāoñ se har shai jalī magar

    shādāb mere ġham shajar hai musāfiro

    miltā bahut hai dil se chalo dam leñ ab vahīñ

    aage jo ek ujḌā nagar hai musāfiro

    bastī udaas rāste chup shahr meñ sukūt

    ye kis ke qāfile asar hai musāfiro

    pur-nūr ek chehra hai pūchho to us se kyoñ

    dil be-niyāz-e-nūr-e-sahar hai musāfiro

    apne safar qissa sunātā 'sho.aib' bhī

    kis ko magar kisī ḳhabar hai musāfiro

    har rah apni rahguzar hai musafiro

    mauhum phir bhi apna safar hai musafiro

    mujh se hi milta-julta koi shaKHs tha yahan

    mujh ko batao ab wo kidhar hai musafiro

    jalti hui hawaon se har shai jali magar

    shadab mere gham ka shajar hai musafiro

    milta bahut hai dil se chalo dam len ab wahin

    aage jo ek ujDa nagar hai musafiro

    basti udas raste chup shahr mein sukut

    ye kis ke qafile ka asar hai musafiro

    pur-nur ek chehra hai puchho to us se kyon

    dil be-niyaz-e-nur-e-sahar hai musafiro

    apne safar ka qissa sunata 'shoaib' bhi

    kis ko magar kisi ki KHabar hai musafiro

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now