har raaz-e-nihan aaj nikal aaya zaban se
har rāz-e-nihāñ aaj nikal aaya zabāñ se
kyoñ chhuptā nahīñ kuchh bhī is andāz-e-bayāñ se
ik maiñ huuñ jise koī tavaqqo hai na ummīd
ik tum ho lagā.e hue dil saare jahāñ se
itnoñ ne pukārā ki gayā ham se bichhaḌ kar
dil DhūñDh ke laa.eñ bhī to ab laa.eñ kahāñ se
us ko bhī bulātā hai yahāñ koī taḌap kar
mujh ko bhī koī khīñchne lagtā hai vahāñ se
ik tum hī nahīñ hāl-e-dilāñ jānñe vaale
hotī hai zamāne ko ḳhabar āh-o-fuġhāñ se
pahle to junūñ ne mire tayyār kiyā but
ab phoḌtā rahtā huuñ maiñ sar sang-e-girāñ se
jiine ki alāmat ho na 'amrit' to bhalā phir
bekār sī ik baat pe kyoñ jaate ho jaañ se
har raaz-e-nihan aaj nikal aaya zaban se
kyon chhupta nahin kuchh bhi is andaz-e-bayan se
ek main hun jise koi tawaqqo hai na ummid
ek tum ho lagae hue dil sare jahan se
itnon ne pukara ki gaya hum se bichhaD kar
dil DhunDh ke laen bhi to ab laen kahan se
us ko bhi bulata hai yahan koi taDap kar
mujh ko bhi koi khinchne lagta hai wahan se
ek tum hi nahin haal-e-dilan jaanne wale
hoti hai zamane ko KHabar aah-o-fughan se
pahle to junun ne mere tayyar kiya but
ab phoDta rahta hun main sar sang-e-giran se
jine ki alamat ho na 'amrit' to bhala phir
bekar si ek baat pe kyon jate ho jaan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.