har rang-e-be-hijab KHabar hai hijab ki
har rang-e-be-hijab KHabar hai hijab ki
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
har rang-e-be-hijāb ḳhabar hai hijāb kī
zauq-e-nazar se pūchhiye qīmat naqāb kī
sūrat bhaTak rahī hai nazar meñ shabāb kī
fursat savāl kī hai na mohlat javāb kī
rījhī huī hai un pe nazar māhtāb kī
qismat chamak rahī hai mire intiḳhāb kī
jin kī halāvateñ hoñ mayassar shabāb kī
un par na kyoñ harām ho talḳhī sharāb kī
phir yaad aa ga.ī kisī mast-e-shabāb kī
dā'vat sī mil rahī hai nazar ko sharāb kī
baaqī rahī na jab koī sūrat savāb kī
chashm-e-butāñ ne soch ke bai'at sharāb kī
taklīf dījiye na laboñ ko javāb kī
āñkhoñ se āshkār hai marzī janāb kī
miTTī 'azīz hai dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī
bedāriyoñ meñ so ga.ī tā'bīr ḳhvāb kī
aamad hai gulsitāñ meñ kisī sabz-gām kī
har shāḳh par bikher huī hai gulāb kī
har dil kī pāsdār hai ik jān-e-dilbarī
har najm-o-māh meñ hai kiran āftāb kī
har jām-e-tishna-kām karam kā hai muntazir
ye kis ke haath meñ hai surāhī sharāb kī
mahñgā paḌegā shauq tujhe nā-murād dil
kyoñ rag phaḌak rahī hai tire iztirāb kī
haiñ 'shād' aaj aap kisī bazm-e-ġhair meñ
tā'rīf ho rahī hai sunā hai janāb kī
har rang-e-be-hijab KHabar hai hijab ki
zauq-e-nazar se puchhiye qimat naqab ki
surat bhaTak rahi hai nazar mein shabab ki
fursat sawal ki hai na mohlat jawab ki
rijhi hui hai un pe nazar mahtab ki
qismat chamak rahi hai mere intiKHab ki
jin ki halawaten hon mayassar shabab ki
un par na kyon haram ho talKHi sharab ki
phir yaad aa gai kisi mast-e-shabab ki
da'wat si mil rahi hai nazar ko sharab ki
baqi rahi na jab koi surat sawab ki
chashm-e-butan ne soch ke bai'at sharab ki
taklif dijiye na labon ko jawab ki
aankhon se aashkar hai marzi janab ki
miTTi 'aziz hai dil-e-KHana-KHarab ki
bedariyon mein so gai ta'bir KHwab ki
aamad hai gulsitan mein kisi sabz-gam ki
har shaKH par bikher hui hai gulab ki
har dil ki pasdar hai ek jaan-e-dilbari
har najm-o-mah mein hai kiran aaftab ki
har jam-e-tishna-kaam karam ka hai muntazir
ye kis ke hath mein hai surahi sharab ki
mahnga paDega shauq tujhe na-murad dil
kyon rag phaDak rahi hai tere iztirab ki
hain 'shad' aaj aap kisi bazm-e-ghair mein
ta'rif ho rahi hai suna hai janab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.