har ranj qubul kar raha hun
har ranj qubūl kar rahā huuñ
zaḳhmoñ ko maiñ phuul kar rahā huuñ
ik pal kī ye zindagī hai merī
lekin ise tuul kar rahā huuñ
jis jis ko atā kiyā ḳhudā ne
vo dard vasūl kar rahā huuñ
jo harf fe.al se ruuTh jaa.e
us ko maiñ fa.uul kar rahā huuñ
lohe kī khaḌī huī hai dīvār
aur maiñ use dhuul kar rahā huuñ
pahchān ke apne aap ko bhī
phir bhī kahīñ bhuul kar rahā huuñ
apnoñ ke ta'alluqāt saare
ġhairoñ se vasūl kar rahā huuñ
har samt havā chalī kuchh aisī
shīsham ko babūl kar rahā huuñ
har gaam pe zulmatoñ meñ rakh de
us ko bhī rasūl kar rahā huuñ
maiñ bād-e-sabā pe rakh ke pahre
kaliyoñ ko malūl kar rahā huuñ
jis se hai sab intishār barpā
us ko hī usuul kar rahā huuñ
hāsil na ho kuchh 'zafar' mujhe to
sab kaam fuzūl kar rahā huuñ
har ranj qubul kar raha hun
zaKHmon ko main phul kar raha hun
ek pal ki ye zindagi hai meri
lekin ise tul kar raha hun
jis jis ko ata kiya KHuda ne
wo dard wasul kar raha hun
jo harf feal se ruTh jae
us ko main faul kar raha hun
lohe ki khaDi hui hai diwar
aur main use dhul kar raha hun
pahchan ke apne aap ko bhi
phir bhi kahin bhul kar raha hun
apnon ke ta'alluqat sare
ghairon se wasul kar raha hun
har samt hawa chali kuchh aisi
shisham ko babul kar raha hun
har gam pe zulmaton mein rakh de
us ko bhi rasul kar raha hun
main baad-e-saba pe rakh ke pahre
kaliyon ko malul kar raha hun
jis se hai sab intishaar barpa
us ko hi usul kar raha hun
hasil na ho kuchh 'zafar' mujhe to
sab kaam fuzul kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.