har rasm har riwaj se tang aa chuke hain ab
har rasm har rivāj se tañg aa chuke haiñ ab
ham apne hī samāj se tañg aa chuke haiñ ab
kuchh ham se zindagī ke taqāze bhī ghaT ga.e
kuchh ham bhī kām-kāj se tañg aa chuke haiñ ab
chaliye ki dekhte haiñ kisī aur kī taraf
ham apne ham-mizāj se tañg aa chuke haiñ ab
ham ko maraz vo hai ki pareshān haiñ tabīb
aur ham bhī har ilaaj se tañg aa chuke haiñ ab
ham dil kī dhaḌkanoñ se kahāñ tak javāb leñ
sāñsoñ ke ehtijāj se tañg aa chuke haiñ ab
ye bojh kis faqīr ke qadmoñ meñ Daal deñ
ham apne sar ke taaj se tañg aa chuke haiñ ab
har rasm har riwaj se tang aa chuke hain ab
hum apne hi samaj se tang aa chuke hain ab
kuchh hum se zindagi ke taqaze bhi ghaT gae
kuchh hum bhi kaam-kaj se tang aa chuke hain ab
chaliye ki dekhte hain kisi aur ki taraf
hum apne ham-mizaj se tang aa chuke hain ab
hum ko maraz wo hai ki pareshan hain tabib
aur hum bhi har ilaj se tang aa chuke hain ab
hum dil ki dhaDkanon se kahan tak jawab len
sanson ke ehtijaj se tang aa chuke hain ab
ye bojh kis faqir ke qadmon mein Dal den
hum apne sar ke taj se tang aa chuke hain ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.