har roz jo mar jaane ka elan karo ho
har roz jo mar jaane kā elaan karo ho
sach bolo ki tum kis kī mohabbat meñ maro ho
kis tarah yaqīñ ho ki kabhī aan miloge
jab duur se tum aañkh milāne se Daro ho
anjām kī talḳhī ko nigāhoñ meñ samo.e
kyoñ ḳhuun mire jazb-e-tamannā kā karo ho
dekhe pe to karte ho shanāsā.ī se inkār
suntā huuñ ki tum mere liye aaheñ bharo ho
zulfoñ kī ghaTā se ruḳh-e-raushan ko chhupā kar
tum din meñ siyah raat kī tashkīl karo ho
bārāt sitāroñ kī nikal aatī hai us dam
tārīkī meñ jab maañg ko afshāñ se bharo ho
maqbūl haiñ 'hasrat' yūñhī ash.ār tumhāre
tum sahl-bayānī meñ ġhazal pesh karo ho
har roz jo mar jaane ka elan karo ho
sach bolo ki tum kis ki mohabbat mein maro ho
kis tarah yaqin ho ki kabhi aan miloge
jab dur se tum aankh milane se Daro ho
anjam ki talKHi ko nigahon mein samoe
kyon KHun mere jazb-e-tamanna ka karo ho
dekhe pe to karte ho shanasai se inkar
sunta hun ki tum mere liye aahen bharo ho
zulfon ki ghaTa se ruKH-e-raushan ko chhupa kar
tum din mein siyah raat ki tashkil karo ho
baraat sitaron ki nikal aati hai us dam
tariki mein jab mang ko afshan se bharo ho
maqbul hain 'hasrat' yunhi ashaar tumhaare
tum sahl-bayani mein ghazal pesh karo ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.