har roz pahle roz se behtar mila hai KHauf
har roz pahle roz se behtar mila hai KHauf
Mohammad Shahid Firoz
MORE BYMohammad Shahid Firoz
har roz pahle roz se behtar milā hai ḳhauf
aisā nahīñ ki ek hī jaisā rahā hai ḳhauf
jis ne tumhārī niiñd kī duniyā ujaaḌ dī
mujh ko bhī ek aisī hī āvāz kā hai ḳhauf
mere mizāj kā hai mirā aks ḳhadd-o-ḳhāl
sab se alag-thalag huuñ maiñ sab se judā hai ḳhauf
ye kā.enāt donoñ kī marzī se hai banī
terī atā hai zindagī merī atā hai ḳhauf
apnā bhī haath chhūne se Dar jaa.e aadmī
merī samajh meñ aa chukā kitnā burā hai ḳhauf
terī atā se baḌh ke to mumkin nahīñ hai dost
itnā hī khā rahā huuñ maiñ jitnā diyā hai ḳhauf
mere liye hai habs kā mausam balā-e-jāñ
jaise diye ke vāste biphrī havā hai ḳhauf
ye soch mere vāste hai mas.ala banī
tujh meñ ḳhudā kā ḳhauf hai yā phir ḳhudā hai ḳhauf
ik roz shahr-e-yār pe ban jā.egā azaab
achchhā hai ahl-e-shahr meñ jo pal rahā hai ḳhauf
'shāhid' adam kā honā aur na honā jaan le
ya.anī vajūd raushnī hai aur ḳhalā hai ḳhauf
har roz pahle roz se behtar mila hai KHauf
aisa nahin ki ek hi jaisa raha hai KHauf
jis ne tumhaari nind ki duniya ujaD di
mujh ko bhi ek aisi hi aawaz ka hai KHauf
mere mizaj ka hai mera aks KHadd-o-KHal
sab se alag-thalag hun main sab se juda hai KHauf
ye kaenat donon ki marzi se hai bani
teri ata hai zindagi meri ata hai KHauf
apna bhi hath chhune se Dar jae aadmi
meri samajh mein aa chuka kitna bura hai KHauf
teri ata se baDh ke to mumkin nahin hai dost
itna hi kha raha hun main jitna diya hai KHauf
mere liye hai habs ka mausam bala-e-jaan
jaise diye ke waste biphri hawa hai KHauf
ye soch mere waste hai masala bani
tujh mein KHuda ka KHauf hai ya phir KHuda hai KHauf
ek roz shahr-e-yar pe ban jaega azab
achchha hai ahl-e-shahr mein jo pal raha hai KHauf
'shahid' adam ka hona aur na hona jaan le
yani wajud raushni hai aur KHala hai KHauf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.