har sahib-e-jamal ke dil ka makin hai
har sāhib-e-jamāl ke dil kā makīn hai
mahfil meñ ek shaḳhs jo gosha-nashīn hai
suuī bhī DhūñD laa.ī hai dhāgā bhī fārehā
aur jaun hai ki apnī hī duniyā meñ liin hai
duniyā hamāre biich muallaq hai is tarah
jis tarah ain-o-qāf ke mābain shiin hai
farhād kār-ḳhāne meñ teshe galātā hai
aur qais apne shahr meñ sab se zahīn hai
jis ke liye banā hai usī kaam kā nahīñ
insān apne vaqt kī bigḌī machine hai
maiñ aazmā to luuñ mire kuchh dostoñ ko par
kuchh dostoñ kā ghar hī mirī āstīn hai
jo terā ho gayā vo kisī kā nahīñ huā
ai maut bil-yaqīn tū behad hasīn hai
ik aarzū kā jism abhī bhī havā meñ hai
aur ek aarzū hai jo zer-e-zamīn hai
jo tujh ko chāhte haiñ unheñ chāhtā huuñ maiñ
mujh ko yahī sikhāyā gayā hai ye diin hai
tum kyā kisī bahār meñ 'shādāb' ho sake
tum jhuuT bolte the ki mausam hasīn hai
har sahib-e-jamal ke dil ka makin hai
mahfil mein ek shaKHs jo gosha-nashin hai
sui bhi DhunD lai hai dhaga bhi fareha
aur jaun hai ki apni hi duniya mein lin hai
duniya hamare bich muallaq hai is tarah
jis tarah ain-o-qaf ke mabain shin hai
farhad kar-KHane mein teshe galata hai
aur qais apne shahr mein sab se zahin hai
jis ke liye bana hai usi kaam ka nahin
insan apne waqt ki bigDi machine hai
main aazma to lun mere kuchh doston ko par
kuchh doston ka ghar hi meri aastin hai
jo tera ho gaya wo kisi ka nahin hua
ai maut bil-yaqin tu behad hasin hai
ek aarzu ka jism abhi bhi hawa mein hai
aur ek aarzu hai jo zer-e-zamin hai
jo tujh ko chahte hain unhen chahta hun main
mujh ko yahi sikhaya gaya hai ye din hai
tum kya kisi bahaar mein 'shadab' ho sake
tum jhuT bolte the ki mausam hasin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.