har sans har-nafas teri ek justuju lage
har saañs har-nafas tirī ik justujū lage
maiñ hū kahāñ ki tū hī faqat chār-sū lage
sāñsoñ meñ ab mahaktī hai ḳhayyām kī ġhazal
har baat merī tujh ko chhalaktā subū lage
utrī huī qabā hai mirī niilā āsmāñ
ashkoñ se mere dhartī tirī bā-vazū lage
āñkhoñ se jis ko dekh rahe haiñ kuchh aur hai
mahsūs ho rahā hai so be-shak vo tū lage
sarmast ham haiñ aur vo maiñ-pan meñ mast hai
merā 'shafīq' kyoñ vo bhalā ham-subū lage
har sans har-nafas teri ek justuju lage
main hu kahan ki tu hi faqat chaar-su lage
sanson mein ab mahakti hai KHayyam ki ghazal
har baat meri tujh ko chhalakta subu lage
utri hui qaba hai meri nila aasman
ashkon se mere dharti teri ba-wazu lage
aankhon se jis ko dekh rahe hain kuchh aur hai
mahsus ho raha hai so be-shak wo tu lage
sarmast hum hain aur wo main-pan mein mast hai
mera 'shafiq' kyon wo bhala ham-subu lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.