har sans jaise zahr ka ek jam ho gai
har saañs jaise zahr kā ik jaam ho ga.ī
ab zindagī bhī morid-e-ilzām ho ga.ī
gum-sum hai chāñd aur sitāre bhī haiñ ḳhamosh
kyā tere dard-e-dil kī ḳhabar aam ho ga.ī
gul par hai iḳhtiyār na ḳhushbū kā e'tibār
gulshan bhī kyā bahār bhī nīlām ho ga.ī
rāh-e-vafā meñ shauq ke jugnū chamak uThe
manzil se duur jab bhī kahīñ shaam ho ga.ī
pahchāntā nahīñ hai koī tere shahr meñ
kyā aabrū vafāoñ kī badnām ho ga.ī
dil kī zamīñ pe zaḳhmoñ kī fasleñ ugā.iye
barsāt āñsuoñ kī sar-e-shām ho ga.ī
har sans jaise zahr ka ek jam ho gai
ab zindagi bhi morid-e-ilzam ho gai
gum-sum hai chand aur sitare bhi hain KHamosh
kya tere dard-e-dil ki KHabar aam ho gai
gul par hai iKHtiyar na KHushbu ka e'tibar
gulshan bhi kya bahaar bhi nilam ho gai
rah-e-wafa mein shauq ke jugnu chamak uThe
manzil se dur jab bhi kahin sham ho gai
pahchanta nahin hai koi tere shahr mein
kya aabru wafaon ki badnam ho gai
dil ki zamin pe zaKHmon ki faslen ugaiye
barsat aansuon ki sar-e-sham ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.