har sans mein ghuTte hue jazbaat ka dukh hai
har saañs meñ ghuTte hue jazbāt kā dukh hai
jo hijr meñ guzrī hai usī raat kā dukh hai
kashtī bhī mayassar mujhe patvār bhī hāsil
tūfāñ bhī uThe to mujhe kis baat kā dukh hai
zanjīr hai pairoñ meñ magar dukh nahīñ is kā
haañ shahr ke bigḌe hue hālāt kā dukh hai
ik samt nigāhoñ meñ bahāroñ ke tamāshe
aur ek taraf arz-o-samāvāt kā dukh hai
bas itnī sī ik baat pe kyoñ hashr hai barpā
ham ahl-e-mohabbat ko fasādāt kā dukh hai
'resham' mujhe shikva nahīñ arbāb-e-karam se
jo dukh hai mire dil ko mirī zaat kā dukh hai
har sans mein ghuTte hue jazbaat ka dukh hai
jo hijr mein guzri hai usi raat ka dukh hai
kashti bhi mayassar mujhe patwar bhi hasil
tufan bhi uThe to mujhe kis baat ka dukh hai
zanjir hai pairon mein magar dukh nahin is ka
han shahr ke bigDe hue haalat ka dukh hai
ek samt nigahon mein bahaaron ke tamashe
aur ek taraf arz-o-samawat ka dukh hai
bas itni si ek baat pe kyon hashr hai barpa
hum ahl-e-mohabbat ko fasadat ka dukh hai
'resham' mujhe shikwa nahin arbab-e-karam se
jo dukh hai mere dil ko meri zat ka dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.