har sans mein mismar khanDar TuTte rahna
har saañs meñ mismār khañDar TūTte rahnā
sun sun ke shikastoñ kī ḳhabar TūTte rahnā
aflāk se mātam-zada āvāzoñ kī aamad
rah rah ke sitāroñ ke gajar TūTte rahnā
yalġhār havāoñ kī parindoñ kī safoñ par
āñdhī meñ parī-zādoñ ke par TūTte rahnā
din bhar vahī lamhāt se rahnā mutasādim
shab bhar vahī lamhoñ kī kamar TūTte rahnā
malbe pe savār āḳhirī fāteh kī tarah the
bachchoñ kā mire khel thā ghar TūTte rahnā
laḌkoñ kā alamiyyā ki maseñ tak nahīñ bhīgīñ
shāḳhoñ se sabhī kachche samar TūTte rahnā
har sans mein mismar khanDar TuTte rahna
sun sun ke shikaston ki KHabar TuTte rahna
aflak se matam-zada aawazon ki aamad
rah rah ke sitaron ke gajar TuTte rahna
yalghaar hawaon ki parindon ki safon par
aandhi mein pari-zadon ke par TuTte rahna
din bhar wahi lamhat se rahna mutasadim
shab bhar wahi lamhon ki kamar TuTte rahna
malbe pe sawar aaKHiri fateh ki tarah the
bachchon ka mere khel tha ghar TuTte rahna
laDkon ka alamiyya ki masen tak nahin bhigin
shaKHon se sabhi kachche samar TuTte rahna
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.