har sans mein shamil rahte hain har KHwab sanwara karte hain
har sans mein shamil rahte hain har KHwab sanwara karte hain
Mustafa Rahi
MORE BYMustafa Rahi
har saañs meñ shāmil rahte haiñ har ḳhvāb sañvārā karte haiñ
kyā kyā na hamārī ḳhātir vo taklīf gavārā karte haiñ
sajdoñ se talāfī ho kyūñkar hairān-o-pareshāñ haiñ ḳhud-sar
vo bojh jo hotā hai dil par kis tarah utārā karte haiñ
har haal meñ haiñ rāzī-ba-razā ham ahl-e-yaqīñ ham ahl-e-vafā
hai kaun hamārā tere sivā tujh hī ko pukārā karte haiñ
kyā jāniye kyā hai qismat meñ ai shāḳh-e-nasheman ḳhair tirī
bijlī bhī bahut kuchh kahtī hai bādal bhī ishārā karte haiñ
ik mauj qayāmat Dhātī hai ik mauj sahārā detī hai
tūfāñ hī Dubote haiñ kashtī tūfāñ hī ubhārā karte haiñ
ehsās kahāñ pheñk aa.eñ ham alfāz kahāñ se laa.eñ ham
kis dil se kise samjhā.eñ ham jo kuchh bhī nazārā karte haiñ
jāñ-bāz kahāñ dil-bāz haiñ sab lekin ye haqīqat hai 'rāhī'
kuchh haar ke jiitā karte haiñ kuchh jiit ke haarā karte haiñ
jo azm-e-amal ke paikar haiñ vo log hī 'rāhī' bartar haiñ
vo be-his kankar patthar haiñ jo vaqt guzārā karte haiñ
har sans mein shamil rahte hain har KHwab sanwara karte hain
kya kya na hamari KHatir wo taklif gawara karte hain
sajdon se talafi ho kyunkar hairan-o-pareshan hain KHud-sar
wo bojh jo hota hai dil par kis tarah utara karte hain
har haal mein hain raazi-ba-raza hum ahl-e-yaqin hum ahl-e-wafa
hai kaun hamara tere siwa tujh hi ko pukara karte hain
kya jaaniye kya hai qismat mein ai shaKH-e-nasheman KHair teri
bijli bhi bahut kuchh kahti hai baadal bhi ishaara karte hain
ek mauj qayamat Dhati hai ek mauj sahaara deti hai
tufan hi Dubote hain kashti tufan hi ubhaara karte hain
ehsas kahan phenk aaen hum alfaz kahan se laen hum
kis dil se kise samjhaen hum jo kuchh bhi nazara karte hain
jaan-baz kahan dil-baz hain sab lekin ye haqiqat hai 'rahi'
kuchh haar ke jita karte hain kuchh jit ke haara karte hain
jo azm-e-amal ke paikar hain wo log hi 'rahi' bartar hain
wo be-his kankar patthar hain jo waqt guzara karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.